Main aaj bhi chup hoon Main kal bhi chup thee Loag kehtay hain kuch to bolo Apni khamoshi ke band kholo Main sochti hoon kya boloon Jo kuch mere dil main hai kis se kahoon? Un say jo nahin jantay Jazbon ki haqeeqat kya hai Rooh kay sannaton main ghulti hooi Qatra qatra see azeeat kya hai Jo samajhtay hain ke insaam faqt Chand ashyaa-e-zaroorat ka hai mohtaj Yeh mohabbatain yeh rafaqatain Yeh khuloos-o-wafa ki rahatain Sab bay mani lafzon ke gharonday hain Jin main baaith kar insaan Haqeeqaton se faraar chahta hai Magar meri soach in say mukhtalif hai Aur ye he tanao ye he nafraton ka baais hai Main kal bhi chup thee Main aaj bhi chup hoon
17小時前everybody